maal-e-sabr hai mera nashat-e-hasrat-afzai
ma.āl-e-sabr hai merā nashāt-e-hasrat-afzā.ī
tabī'at bazm kī ḳhūgar magar qismat hai tanhā.ī
achānak un ḳhayāl-angez āñkhoñ meñ chamak aa.ī
bas itnī baat kaafī thī mujhe hone ko saudā.ī
zahe-uzlat ki jaarī hai ba-shakl-e-ḳhvāb bedārī
sar-e-shām-e-tamannā ehtimām-e-bazm-ārā.ī
'adū kī fauj saf-basta musallah bhī munazzam bhī
magar ham haiñ abhī ġharq-e-ḳhayāl-e-razm-ārā.ī
savāl is kā nahīñ vīrān hai dil mas.ala ye hai
agar andar na thā koī to phir kis kī sadā aa.ī
darīchoñ par koī bandish nahīñ thī aaj phir 'ḳhālid'
koī bhūlī huī ḳhushbū havā ke saath dar aa.ī
maal-e-sabr hai mera nashat-e-hasrat-afzai
tabi'at bazm ki KHugar magar qismat hai tanhai
achanak un KHayal-angez aankhon mein chamak aai
bas itni baat kafi thi mujhe hone ko saudai
zahe-uzlat ki jari hai ba-shakl-e-KHwab bedari
sar-e-sham-e-tamanna ehtimam-e-bazm-arai
'adu ki fauj saf-basta musallah bhi munazzam bhi
magar hum hain abhi gharq-e-KHayal-e-razm-arai
sawal is ka nahin viran hai dil masala ye hai
agar andar na tha koi to phir kis ki sada aai
darichon par koi bandish nahin thi aaj phir 'KHalid'
koi bhuli hui KHushbu hawa ke sath dar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.