maal-e-zindagani imbisat-e-anjuman bhi hai
ma.āl-e-zindagānī imbisāt-e-anjuman bhī hai
magar is rahguzar meñ manzil-e-dār-o-rasan bhī hai
faqat gul hī nahīñ kāñTe bhī haiñ sarmāya-e-gulshan
inhīñ ke rabt se ta.abīr taz.īn-e-chaman bhī hai
zarūrī amr ta.amīr-e-nasheman hai chaman vaalo
magar muhtāj-e-ārā.ish gulistān-e-vatan bhī hai
zamāna mo'tarif ab tak hai mere kārnāmoñ kā
mirī mīrās meñ talvār bhī hai aur kafan bhī hai
payām-e-asr detā huuñ maiñ āhang-e-ḳhumistāñ meñ
sharāb-e-nau bhī hai sāġhar meñ sahbā-e-kuhan bhī hai
ḳhirad-mando haqīqat khul to jaatī hosh-mandī kī
magar haa.il kisī had tak mirā dīvāna-pan bhī hai
vo aalam jo kahā jaatā hai duniyā-e-ravādārī
vahāñ mujrim janāb-e-shaiḳh bhī haiñ barhaman bhī hai
usī mai-ḳhvār kī azmat hai saaqī kī nigāhoñ meñ
jise 'zamzam' gavāra talḳhī-e-kām-o-dahan bhī hai
maal-e-zindagani imbisat-e-anjuman bhi hai
magar is rahguzar mein manzil-e-dar-o-rasan bhi hai
faqat gul hi nahin kanTe bhi hain sarmaya-e-gulshan
inhin ke rabt se tabir tazin-e-chaman bhi hai
zaruri amr tamir-e-nasheman hai chaman walo
magar muhtaj-e-araish gulistan-e-watan bhi hai
zamana mo'tarif ab tak hai mere karnamon ka
meri miras mein talwar bhi hai aur kafan bhi hai
payam-e-asr deta hun main aahang-e-KHumistan mein
sharab-e-nau bhi hai saghar mein sahba-e-kuhan bhi hai
KHirad-mando haqiqat khul to jati hosh-mandi ki
magar hail kisi had tak mera diwana-pan bhi hai
wo aalam jo kaha jata hai duniya-e-rawadari
wahan mujrim janab-e-shaiKH bhi hain barhaman bhi hai
usi mai-KHwar ki azmat hai saqi ki nigahon mein
jise 'zamzam' gawara talKHi-e-kaam-o-dahan bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.