madar-e-hind ki azmat ka pata chalta hai
mādar-e-hind kī 'azmat kā pata chaltā hai
husn-e-kashmīr se jannat kā pata chaltā hai
qatra-e-āb kī qīmat kā pata chaltā hai
dhuup meñ pyaas kī shiddat kā pata chaltā hai
jab bhī kāñdhoñ pe uThātā huuñ janāza koī
zindagī terī haqīqat kā pata chaltā hai
paañv ho jaate haiñ jab rāh-e-vafā meñ zaḳhmī
tab kahīñ 'ishq kī 'azmat kā pata chaltā hai
'ilm par apne bahut jab koī kartā hai ġhurūr
us ke andar kī jahālat kā pata chaltā hai
us kī tahqīq jab aatī hai ḳhalāoñ meñ nazar
'ilm insān kī tāqat kā pata chaltā hai
jab nahīñ miltī hameñ vaqt-e-zarūrat 'ālam'
tab kisī chiiz kī qīmat kā pata chaltā hai
madar-e-hind ki 'azmat ka pata chalta hai
husn-e-kashmir se jannat ka pata chalta hai
qatra-e-ab ki qimat ka pata chalta hai
dhup mein pyas ki shiddat ka pata chalta hai
jab bhi kandhon pe uThata hun janaza koi
zindagi teri haqiqat ka pata chalta hai
panw ho jate hain jab rah-e-wafa mein zaKHmi
tab kahin 'ishq ki 'azmat ka pata chalta hai
'ilm par apne bahut jab koi karta hai ghurur
us ke andar ki jahaalat ka pata chalta hai
us ki tahqiq jab aati hai KHalaon mein nazar
'ilm insan ki taqat ka pata chalta hai
jab nahin milti hamein waqt-e-zarurat 'alam'
tab kisi chiz ki qimat ka pata chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.