mah-paron mein rahe zohra-jamalon mein rahe
māh-pāroñ meñ rahe zohra-jamāloñ meñ rahe
ham bahar-hāl tire chāhne vāloñ meñ rahe
mere dam tak to farozāñ rahī qindīl-e-vafā
kyā mire baad bhī insān ujāloñ meñ rahe
ma.abad-e-shab meñ tapā.e hue gulnār badan
muddatoñ aag kī mānind ḳhayāloñ meñ rahe
aur kis se ḳhalish-e-dil kā fasāna kahte
jab ki ham ḳhud bhī tumheñ pūjne vāloñ meñ rahe
ham ne paayā hai har ik Thos haqīqat se ḳhirāj
vo shahanshāh nahīñ ham jo misāloñ meñ rahe
vādī-e-gul se churā.e hue lamhe 'ishrat'
Tiis ban ban ke mirī ruuh ke chhāloñ meñ rahe
mah-paron mein rahe zohra-jamalon mein rahe
hum bahar-haal tere chahne walon mein rahe
mere dam tak to farozan rahi qindil-e-wafa
kya mere baad bhi insan ujalon mein rahe
mabad-e-shab mein tapae hue gulnar badan
muddaton aag ki manind KHayalon mein rahe
aur kis se KHalish-e-dil ka fasana kahte
jab ki hum KHud bhi tumhein pujne walon mein rahe
hum ne paya hai har ek Thos haqiqat se KHiraj
wo shahanshah nahin hum jo misalon mein rahe
wadi-e-gul se churae hue lamhe 'ishrat'
Tis ban ban ke meri ruh ke chhaalon mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.