mah-ruKHon se yari paida karte hain
māh-ruḳhoñ se yaarī paidā karte haiñ
jazboñ meñ sarshārī paidā karte haiñ
ḳhushbūoñ se ‘aarī paidā karte haiñ
naqlī phuul madārī paidā karte haiñ
un kī galī meñ ānā-jānā chhoḌ diyā
ab ham bhī ḳhuddārī paidā karte haiñ
aise vaisoñ ke ham muñh lagte hī nahīñ
dushman bhī me’yārī paidā karte haiñ
‘izzat se jiine ke liye is duniyā meñ
aao ḳhud-muḳhtārī paidā karte haiñ
she’r sunā kar ham bhī sub.h-o-shām 'zakī'
logoñ meñ bedārī paidā karte haiñ
mah-ruKHon se yari paida karte hain
jazbon mein sarshaari paida karte hain
KHushbuon se ‘ari paida karte hain
naqli phul madari paida karte hain
un ki gali mein aana-jaana chhoD diya
ab hum bhi KHuddari paida karte hain
aise waison ke hum munh lagte hi nahin
dushman bhi me’yari paida karte hain
‘izzat se jine ke liye is duniya mein
aao KHud-muKHtari paida karte hain
she’r suna kar hum bhi subh-o-sham 'zaki'
logon mein bedari paida karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.