mahaul-e-dil-e-zar abhi kya tha abhi kya hai
māhaul-e-dil-e-zār abhī kyā thā abhī kyā hai
ye shahr bhī hairat-kada-e-hosh-rubā hai
ik vo haiñ ki asbāb-e-zamāna haiñ mulāzim
ik ham ki mayassar na davā hai na du'ā hai
sab kaam dalīloñ se nahīñ chalte jahāñ meñ
gar ham ko yaqīñ hai ki ḳhudā hai to ḳhudā hai
tasvīr-e-mukammal huuñ magar merā musavvir
lagtā hai yahāñ rakh ke mujhe bhuul gayā hai
bekār hai dīvāroñ se sar phoḌnā 'ḳhālid'
kuchh dād-rasī ho to shikāyat bhī bajā hai
mahaul-e-dil-e-zar abhi kya tha abhi kya hai
ye shahr bhi hairat-kada-e-hosh-ruba hai
ek wo hain ki asbab-e-zamana hain mulazim
ek hum ki mayassar na dawa hai na du'a hai
sab kaam dalilon se nahin chalte jahan mein
gar hum ko yaqin hai ki KHuda hai to KHuda hai
taswir-e-mukammal hun magar mera musawwir
lagta hai yahan rakh ke mujhe bhul gaya hai
bekar hai diwaron se sar phoDna 'KHalid'
kuchh dad-rasi ho to shikayat bhi baja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.