mahaul ne Dala hai asar aur tarah ka
māhaul ne Daalā hai asar aur tarah kā
phal aur tarah ke haiñ shajar aur tarah kā
larzīda mile vādī-e-zulmāt ke rahrav
aaya mire hisse meñ safar aur tarah kā
dushman kī har ik chaal se bach aaya maiñ lekin
yāroñ ne dikhāyā hai hunar aur tarah kā
har baar baḌhā kartī hai be-tābī-e-dil aur
har baar vo aatā hai nazar aur tarah kā
mushtāq to pahle bhī bahut the magar ab ke
majma.a hai sar-e-rāhguzar aur tarah kā
mahaul ne Dala hai asar aur tarah ka
phal aur tarah ke hain shajar aur tarah ka
larzida mile wadi-e-zulmat ke rahraw
aaya mere hisse mein safar aur tarah ka
dushman ki har ek chaal se bach aaya main lekin
yaron ne dikhaya hai hunar aur tarah ka
har bar baDha karti hai be-tabi-e-dil aur
har bar wo aata hai nazar aur tarah ka
mushtaq to pahle bhi bahut the magar ab ke
majma hai sar-e-rahguzar aur tarah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.