mahi-e-reg hun ghar mera samundar kar de
māhī-e-reg huuñ ghar merā samundar kar de
mauj-dar-mauj kī tuġhyānī muqaddar kar de
be-hisī kī hai qabā ruuh ke tan par yā-rab
us ko ehsās kī ḳhushbū se mo.attar kar de
ik zamāne se diyā hī na jalā is ghar meñ
dil ko īqān kī mash.al se munavvar kar de
kitnā pāyāb hai gahrā.ī atā kar yārab
dasht-e-afkār ko ik roz samundar kar de
vo kisī moḌ pe mil jaa.e to maiñ muñh pherūñ
mere allāh mire dil ko bhī patthar kar de
mahi-e-reg hun ghar mera samundar kar de
mauj-dar-mauj ki tughyani muqaddar kar de
be-hisi ki hai qaba ruh ke tan par ya-rab
us ko ehsas ki KHushbu se moattar kar de
ek zamane se diya hi na jala is ghar mein
dil ko iqan ki mashal se munawwar kar de
kitna payab hai gahrai ata kar yarab
dasht-e-afkar ko ek roz samundar kar de
wo kisi moD pe mil jae to main munh pherun
mere allah mere dil ko bhi patthar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.