mail us but ka jidhar tir-e-nazar hota hai
maa.il us but kā jidhar tīr-e-nazar hotā hai
sūrat-e-qibla-numā dil bhī udhar hotā hai
dard siine meñ kahāñ aur kidhar hotā hai
ye to ham kah nahīñ sakte haiñ magar hotā hai
mutma.in aap raheñ ḳhauf kī kuchh baat nahīñ
kahīñ āshiq ke bhī nāloñ meñ asar hotā hai
dil huā jaatā hai jaulāñ-gah-e-yās-o-hirmāñ
dekh kis tarah se vīrāñ tirā ghar hotā hai
merī tadbīr pe hañs detī hai taqdīr mirī
naala jis vaqt ki jūyā-e-asar hotā hai
tujh ko Dar kyā hai mirā qissa-e-ġham sun to sahī
kahīñ āshiq ke bayāñ meñ bhī asar hotā hai
jāguzīñ hotā hai ik dil meñ koī parda-nashīñ
ya.anī ab rashk-e-do-sad ka.aba ye ghar hotā hai
rahm kyoñ aa.e unheñ sun ke hamārā naama
kab siyah-baḳhtoñ ke rone meñ asar hotā hai
vā.izo ka.aba kī tārīf se sābit ye huā
ki sanam-ḳhāna hī allāh kā ghar hotā hai
barg-hā-e-gul-e-tar kaise bikhar jaate haiñ
girya-e-bulbul-e-nālāñ meñ asar hotā hai
zāhid-e-gosha-nashīñ kab use pahchān sakā
vahī aarif hai jise zauq-e-nazar hotā hai
shab ko sab logoñ se poshīda janāb-e-'bedil'
aap kā jaanā ye har roz kidhar hotā hai
mail us but ka jidhar tir-e-nazar hota hai
surat-e-qibla-numa dil bhi udhar hota hai
dard sine mein kahan aur kidhar hota hai
ye to hum kah nahin sakte hain magar hota hai
mutmain aap rahen KHauf ki kuchh baat nahin
kahin aashiq ke bhi nalon mein asar hota hai
dil hua jata hai jaulan-gah-e-yas-o-hirman
dekh kis tarah se viran tera ghar hota hai
meri tadbir pe hans deti hai taqdir meri
nala jis waqt ki juya-e-asar hota hai
tujh ko Dar kya hai mera qissa-e-gham sun to sahi
kahin aashiq ke bayan mein bhi asar hota hai
jaguzin hota hai ek dil mein koi parda-nashin
yani ab rashk-e-do-sad kaba ye ghar hota hai
rahm kyon aae unhen sun ke hamara nama
kab siyah-baKHton ke rone mein asar hota hai
waizo kaba ki tarif se sabit ye hua
ki sanam-KHana hi allah ka ghar hota hai
barg-ha-e-gul-e-tar kaise bikhar jate hain
girya-e-bulbul-e-nalan mein asar hota hai
zahid-e-gosha-nashin kab use pahchan saka
wahi aarif hai jise zauq-e-nazar hota hai
shab ko sab logon se poshida janab-e-'bedil'
aap ka jaana ye har roz kidhar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.