man-bap ki apne jo bhi izzat nahin karte
māñ-bāp kī apne jo bhī 'izzat nahīñ karte
rahte haiñ pareshān vo barkat nahīñ karte
jiite haiñ yahāñ ban ke jo daulat ke pujārī
vo log usūloñ kī hifāzat nahīñ karte
detā jo koī ham pe zarā sī bhī tavajjoh
mahfil se tirī ḳhud ko bhī ruḳhsat nahīñ karte
rutba hai baḌā terā magar ham bhī to kuchh haiñ
har baat se apne ko to sahmat nahīñ karte
zinda hai tirī shakl hī alfāz kī sūrat
sho'loñ ke havāle jo tire ḳhat nahīñ karte
rahtā hai hameñ yaad nizāmat hai usī kī
duniyā kī kisī shai se bhī nafrat nahīñ karte
patvār thamā dī hai 'nazar' kab se usī ko
chaukhaT pe zamāne kī to minnat nahīñ karte
man-bap ki apne jo bhi 'izzat nahin karte
rahte hain pareshan wo barkat nahin karte
jite hain yahan ban ke jo daulat ke pujari
wo log usulon ki hifazat nahin karte
deta jo koi hum pe zara si bhi tawajjoh
mahfil se teri KHud ko bhi ruKHsat nahin karte
rutba hai baDa tera magar hum bhi to kuchh hain
har baat se apne ko to sahmat nahin karte
zinda hai teri shakl hi alfaz ki surat
sho'lon ke hawale jo tere KHat nahin karte
rahta hai hamein yaad nizamat hai usi ki
duniya ki kisi shai se bhi nafrat nahin karte
patwar thama di hai 'nazar' kab se usi ko
chaukhaT pe zamane ki to minnat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.