man ja ain shin qaf na kar
maan jā 'ain shiin qaaf na kar
ro.egā 'ain shiin qaaf na kar
kaun phir mai-kada sañbhālegā
sāqiyā 'ain shiin qaaf na kar
kashtī-e-zīst Duub jā.egī
nāḳhudā 'ain shiin qaaf na kar
dil lagāne se kuchh nahīñ hotā
dil lagā 'ain shiin qaaf na kar
sab ko detā hai ek dīvāna
mashvara 'ain shiin qaaf na kar
ye zamāna vafā nahīñ kartā
ham-navā 'ain shiin qaaf na kar
hai abhī daur-e-kam-sinī pyāre
muskurā 'ain shiin qaaf na kar
laaj rakh apnī ḳhuub sūrat kī
apsarā 'ain shiin qaaf na kar
ek kaafī hai zindagī-bhar ko
dūsrā 'ain shiin qaaf na kar
phir se farmā.eñ hazrat-e-'mahvar'
kyā kahā 'ain shiin qaaf na kar
man ja 'ain shin qaf na kar
roega 'ain shin qaf na kar
kaun phir mai-kada sanbhaalega
saqiya 'ain shin qaf na kar
kashti-e-zist Dub jaegi
naKHuda 'ain shin qaf na kar
dil lagane se kuchh nahin hota
dil laga 'ain shin qaf na kar
sab ko deta hai ek diwana
mashwara 'ain shin qaf na kar
ye zamana wafa nahin karta
ham-nawa 'ain shin qaf na kar
hai abhi daur-e-kam-sini pyare
muskura 'ain shin qaf na kar
laj rakh apni KHub surat ki
apsara 'ain shin qaf na kar
ek kafi hai zindagi-bhar ko
dusra 'ain shin qaf na kar
phir se farmaen hazrat-e-'mahwar'
kya kaha 'ain shin qaf na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.