man ja dekh eatibar na kar
maan jā dekh e.atibār na kar
vo na ā.eñge intizār na kar
apnā ġham ro ke āshkār na kar
chāñd tāroñ ko ashk-bār na kar
rahm kar ai junūn-e-zauq-e-nazar
mujh ko begāna-e-bahār na kar
rind ban dekh kaif-e-bāda na ban
un nigāhoñ kā e.atibār na kar
tauba tauba tirā gila aur maiñ
mujh ko itnā tū sharmsār na kar
hosh ko izn-e-be-ḳhudī de kar
zindagī kā bhī e.atibār na kar
mujh ko duniyā kī āfateñ haiñ qubūl
ġham-dilī un ko sogvār na kar
ye hai tauhīn-e-zabt-e-ġham nādāñ
ashk-e-ġham husn par nisār na kar
dekh anjām-e-tūr kyā hai 'vakīl'
manzil-e-shauq iḳhtiyār na kar
man ja dekh eatibar na kar
wo na aaenge intizar na kar
apna gham ro ke aashkar na kar
chand taron ko ashk-bar na kar
rahm kar ai junun-e-zauq-e-nazar
mujh ko begana-e-bahaar na kar
rind ban dekh kaif-e-baada na ban
un nigahon ka eatibar na kar
tauba tauba tera gila aur main
mujh ko itna tu sharmsar na kar
hosh ko izn-e-be-KHudi de kar
zindagi ka bhi eatibar na kar
mujh ko duniya ki aafaten hain qubul
gham-dili un ko sogwar na kar
ye hai tauhin-e-zabt-e-gham nadan
ashk-e-gham husn par nisar na kar
dekh anjam-e-tur kya hai 'wakil'
manzil-e-shauq iKHtiyar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.