man mujhe apni duaon ke asar mein rakhna
maañ mujhe apnī du'āoñ ke asar meñ rakhnā
naam merā sar-e-fihrist-e-hunar meñ rakhnā
maanā dushvār salīboñ kā safar hotā hai
phir bhī tum ḳhud ko salīboñ ke safar meñ rakhnā
chāhte ho jo numā.ish na ho dāġh-e-dil kī
siikh lo ghar kī har ik baat ko ghar meñ rakhnā
dushmanī jaal bichhā.e hue baiThī hai yahāñ
kitnā dushvār hai chehroñ ko nazar meñ rakhnā
jab bhī saa.e kī zarūrat kā ho ehsās tumheñ
apnī āñkhoñ ko faqat sabz shajar meñ rakhnā
sar-bulandī kā agar shauq hai dil meñ yaaro
kuchh na kuchh tāqat-e-parvāz bhī par meñ rakhnā
shā'irī ke liye ab ye bhī zarūrī hai 'atīq'
qaum kā dard bhī tum apne jigar meñ rakhnā
man mujhe apni du'aon ke asar mein rakhna
nam mera sar-e-fihrist-e-hunar mein rakhna
mana dushwar salibon ka safar hota hai
phir bhi tum KHud ko salibon ke safar mein rakhna
chahte ho jo numaish na ho dagh-e-dil ki
sikh lo ghar ki har ek baat ko ghar mein rakhna
dushmani jal bichhae hue baiThi hai yahan
kitna dushwar hai chehron ko nazar mein rakhna
jab bhi sae ki zarurat ka ho ehsas tumhein
apni aankhon ko faqat sabz shajar mein rakhna
sar-bulandi ka agar shauq hai dil mein yaro
kuchh na kuchh taqat-e-parwaz bhi par mein rakhna
sha'iri ke liye ab ye bhi zaruri hai 'atiq'
qaum ka dard bhi tum apne jigar mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.