mana bahut udas hun is zindagi se main
maanā bahut udaas huuñ is zindagī se maiñ
lekin gila karūñ bhī to kyoñ kar kisī se maiñ
hañs hañs ke kāTtā huuñ ye sahrā kī talḳhiyāñ
pesh aa rahā huuñ dekhiye dariyā-dilī se maiñ
kuchh bhī nahīñ hai vaqt kī raftār se pare
kyā kyā na ḳhvāb dekhne vaalā thā jī se maiñ
zindāñ meñ apne paañv kī zanjīr toḌ kar
pāgal sā ho gayā huuñ adhūrī ḳhushī se maiñ
aao ki ḳhatm-e-shab kā kareñ koī ehtimām
tum tīrgī se baat karo raushnī se maiñ
is 'ārzī paḌāv se jā.ūñgā meñ kidhar
manzil to pā sakā na tirī rahbarī se maiñ
'rāshid' ye hijr is qadar āsān to na thā
bahlā rahā thā dil ko magar shā.erī se maiñ
mana bahut udas hun is zindagi se main
lekin gila karun bhi to kyon kar kisi se main
hans hans ke kaTta hun ye sahra ki talKHiyan
pesh aa raha hun dekhiye dariya-dili se main
kuchh bhi nahin hai waqt ki raftar se pare
kya kya na KHwab dekhne wala tha ji se main
zindan mein apne panw ki zanjir toD kar
pagal sa ho gaya hun adhuri KHushi se main
aao ki KHatm-e-shab ka karen koi ehtimam
tum tirgi se baat karo raushni se main
is 'arzi paDaw se jaunga mein kidhar
manzil to pa saka na teri rahbari se main
'rashid' ye hijr is qadar aasan to na tha
bahla raha tha dil ko magar shaeri se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.