mana ki bahut KHub hai us par ka manzar
mana ki bahut KHub hai us par ka manzar
Inder Sauroop Datt Nadan
MORE BYInder Sauroop Datt Nadan
maanā ki bahut ḳhuub hai us paar kā manzar
jaatā hai magar aag ke dariyā se guzar kar
vo buuñd batā jis pe mirā naam likhā hai
kahne ko haiñ jāgīr mirī saat samundar
aatī rahī jaatī rahī mausam kī savārī
jalte rahe shamshān magar apnī jagah par
ā.īna-e-hālāt dikhā detā hai chehra
laakh aa.e koī atlas-o-kamḳhvāb pahan kar
phūñkoñ se dhanush toḌne vaale bhī haiñ maujūd
kyā soch ke ab koī rachā.egā svayamvar
uTTho ki ye hālāt badalne haiñ hamīñ ko
ākāsh se kyā utregā ab koī payambar
vo din bhī koī duur nahīñ ai dil-e-‘nādāñ’
ye tohmateñ bhī hoñgī mirī zaat kā zevar
mana ki bahut KHub hai us par ka manzar
jata hai magar aag ke dariya se guzar kar
wo bund bata jis pe mera nam likha hai
kahne ko hain jagir meri sat samundar
aati rahi jati rahi mausam ki sawari
jalte rahe shamshan magar apni jagah par
aaina-e-haalat dikha deta hai chehra
lakh aae koi atlas-o-kamKHwab pahan kar
phunkon se dhanush toDne wale bhi hain maujud
kya soch ke ab koi rachaega swayamwar
uTTho ki ye haalat badalne hain hamin ko
aakash se kya utrega ab koi payambar
wo din bhi koi dur nahin ai dil-e-‘nadan’
ye tohmaten bhi hongi meri zat ka zewar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.