mana ki bahut ruh ke aazar rahenge
maanā ki bahut ruuh ke āzār raheñge
ham tere magar phir bhī talabgār raheñge
ai tishnagī-e-shauq batā ham tirī ḳhātir
kab tak yūñhī rusvā sar-e-bāzār raheñge
jal jā.eñge tapte hue sahrā meñ magar ham
auroñ ke liye sāya-e-dīvār raheñge
kab tak tirī zulfeñ hameñ zanjīr rakheñgī
kab tak tirī zulfoñ ke giraftār raheñge
nā-qābil-e-tasḳhīr irāde haiñ hamāre
ham 'azm kī ik āhanī dīvār raheñge
lekin hameñ duniyā nazar-andāz karegī
har-chand ki pesh-e-nigah-e-yār raheñge
gul honā charāġhoñ kā muqaddar hai shab-e-vasl
kab tak ye harīf-e-lab-o-ruḳhsār raheñge
'bāsit' mire afkār-o-ḳhayālāt hamesha
sharminda-e-pairāya-e-iz.hār raheñge
mana ki bahut ruh ke aazar rahenge
hum tere magar phir bhi talabgar rahenge
ai tishnagi-e-shauq bata hum teri KHatir
kab tak yunhi ruswa sar-e-bazar rahenge
jal jaenge tapte hue sahra mein magar hum
auron ke liye saya-e-diwar rahenge
kab tak teri zulfen hamein zanjir rakhengi
kab tak teri zulfon ke giraftar rahenge
na-qabil-e-tasKHir irade hain hamare
hum 'azm ki ek aahani diwar rahenge
lekin hamein duniya nazar-andaz karegi
har-chand ki pesh-e-nigah-e-yar rahenge
gul hona charaghon ka muqaddar hai shab-e-wasl
kab tak ye harif-e-lab-o-ruKHsar rahenge
'basit' mere afkar-o-KHayalat hamesha
sharminda-e-pairaya-e-izhaar rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.