mana ki raat hijr ki mari nahin rahi
maanā ki raat hijr kī maarī nahīñ rahī
lekin vo ratjagoñ kī ḳhumārī nahīñ rahī
chāTā hai raat din use maiñ ne isī liye
zanjīr mere paañv kī bhārī nahīñ rahī
mausam jo saare merī himāyat meñ the kabhī
un mausamoñ se ab mirī yaarī nahīñ rahī
hairat na kījiye ki hameñ hārnā hī thā
miltī thī jo kumak vahī jaarī nahīñ rahī
sasurāl meñ bhī pā na sakī ho koī maqām
maañ baap kī bhī ab vo dulārī nahīñ rahī
ḳhushbū se jis kī jism mahaktā thā sub.h-o-shām
ab 'ishq kī vo bād-e-bahārī nahīñ rahī
maiñ kyā ġhazal likhūñ maiñ koī she'r kyā kahūñ
jab mujh pe kaifiyat hī vo taarī nahīñ rahī
mana ki raat hijr ki mari nahin rahi
lekin wo ratjagon ki KHumari nahin rahi
chaTa hai raat din use main ne isi liye
zanjir mere panw ki bhaari nahin rahi
mausam jo sare meri himayat mein the kabhi
un mausamon se ab meri yari nahin rahi
hairat na kijiye ki hamein haarna hi tha
milti thi jo kumak wahi jari nahin rahi
sasural mein bhi pa na saki ho koi maqam
man bap ki bhi ab wo dulari nahin rahi
KHushbu se jis ki jism mahakta tha subh-o-sham
ab 'ishq ki wo baad-e-bahaari nahin rahi
main kya ghazal likhun main koi she'r kya kahun
jab mujh pe kaifiyat hi wo tari nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.