mana ki sabhi se ye chhupai nahin jati
maanā ki sabhī se ye chhupā.ī nahīñ jaatī
daulat bhī magar ġham kī luTā.ī nahīñ jaatī
ham aa.e baḌī duur se dīdār ko tere
tujh se zarā chilman bhī haTā.ī nahīñ jaatī
duniyā meñ mohabbat ke sivā aur bhī haiñ kaam
ulfat ke liye niiñd gañvā.ī nahīñ jaatī
insāf ho kaise ki 'adālat meñ kabhī jab
tasvīr sadāqat kī dikhā.ī nahīñ jaatī
us ne haiñ sahe kitne sitam kis ko hai mā'lūm
sar pe yuuñ hī duniyā ye uThā.ī nahīñ jaatī
hotā jo mire bas meñ miTā detā use par
hāthoñ kī lakīr aise miTā.ī nahīñ jaatī
maz.hab kā hasad paal ke rakkhā hai sabhī ne
par aag se ye aag bujhā.ī nahīñ jaatī
mana ki sabhi se ye chhupai nahin jati
daulat bhi magar gham ki luTai nahin jati
hum aae baDi dur se didar ko tere
tujh se zara chilman bhi haTai nahin jati
duniya mein mohabbat ke siwa aur bhi hain kaam
ulfat ke liye nind ganwai nahin jati
insaf ho kaise ki 'adalat mein kabhi jab
taswir sadaqat ki dikhai nahin jati
us ne hain sahe kitne sitam kis ko hai ma'lum
sar pe yun hi duniya ye uThai nahin jati
hota jo mere bas mein miTa deta use par
hathon ki lakir aise miTai nahin jati
mazhab ka hasad pal ke rakkha hai sabhi ne
par aag se ye aag bujhai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.