mana ki saKHt hoti hai tir-o-tabar ki choT
maanā ki saḳht hotī hai tīr-o-tabar kī choT
lekin burī balā hai kisī kī nazar kī choT
teġh-e-adā kā vaar hai tīr-e-nazar kī choT
dil kī bachā.ūñ zarb ki rokūñ jigar kī choT
baḌh kar hai zaḳhm-e-teġh se bhī zaḳhm baat kā
ye chaar din kī choT hai vo umr bhar kī choT
siine se vo mile to nazar se nazar milī
dil kā bharā jo zaḳhm to ubhrī jigar kī choT
ehsāñ kā baar sāhib-e-himmat kī maut hai
merī duā qubūl kare kyoñ asar kī choT
dard intihā kā dil meñ hai 'mahmūd' aaj tak
khaa.ī thī ibtidā meñ kisī kī nazar kī choT
mana ki saKHt hoti hai tir-o-tabar ki choT
lekin buri bala hai kisi ki nazar ki choT
tegh-e-ada ka war hai tir-e-nazar ki choT
dil ki bachaun zarb ki rokun jigar ki choT
baDh kar hai zaKHm-e-tegh se bhi zaKHm baat ka
ye chaar din ki choT hai wo umr bhar ki choT
sine se wo mile to nazar se nazar mili
dil ka bhara jo zaKHm to ubhri jigar ki choT
ehsan ka bar sahib-e-himmat ki maut hai
meri dua qubul kare kyon asar ki choT
dard intiha ka dil mein hai 'mahmud' aaj tak
khai thi ibtida mein kisi ki nazar ki choT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.