mana ki shakl se main zara sa matin hun
maanā ki shakl se maiñ zarā sā matīn huuñ
lekin hañsī mazāq meñ maiñ behtarīn huuñ
kuchh vaqt mujh pe kaam huā phir maiñ kaT gayā
jo film tak pahuñch na sakā maiñ vo scene huuñ
maiñ aadmī kī zaat gumāñ kyoñ na ho mujhe
kyūñkar bharam na ho ki bas ik maiñ zahīn huuñ
ḳhud tak 'urūj bhī mirā ḳhud tak zavāl bhī
yā'nī huuñ maiñ hī āsmāñ maiñ hī zamīn huuñ
dil ek 'aql do vo jo in ko sune vo tiin
maiñ ek shaḳhs huuñ hī kahāñ maiñ to tiin huuñ
tauhīn itnī bhī na kar un kī pasand kī
'fānī' qubūl kar le ki maiñ bhī hasīn huuñ
mana ki shakl se main zara sa matin hun
lekin hansi mazaq mein main behtarin hun
kuchh waqt mujh pe kaam hua phir main kaT gaya
jo film tak pahunch na saka main wo scene hun
main aadmi ki zat guman kyon na ho mujhe
kyunkar bharam na ho ki bas ek main zahin hun
KHud tak 'uruj bhi mera KHud tak zawal bhi
ya'ni hun main hi aasman main hi zamin hun
dil ek 'aql do wo jo in ko sune wo tin
main ek shaKHs hun hi kahan main to tin hun
tauhin itni bhi na kar un ki pasand ki
'fani' qubul kar le ki main bhi hasin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.