mana ki tujhse dur bahut jaan-e-jaan rahe
maanā ki tujh se duur bahut jān-e-jāñ rahe
lekin tire ḳhayāl se ġhāfil kahāñ rahe
tang us pe kyoñ na vus.at-e-kaun-o-makāñ rahe
gir jaa.e jo nazar se tumhārī kahāñ rahe
mujh sā na koī kushta-e-yād-e-ḳhizāñ rahe
lamhāt-e-sar-ḳhushī bhī to mujh par girāñ rahe
sajdoñ ke baad kuchh to vafā kā nishāñ rahe
merī jabīñ rahe na rahe āstāñ rahe
yuuñ be-niyāz-e-fikr-e-bahār-o-ḳhizāñ rahe
do chaar roz jaise koī mehmāñ rahe
rāh-e-talab meñ mil na sakī manzil-e-umīd
gum-karda rāste meñ bahut kārvāñ rahe
paiham tasavvurāt-e-mohabbat kā shukriya
tum se qarīb-tar hī rahe ham jahāñ rahe
kuchh to samajh sakūñgā nasheb-o-farāz-e-dahr
achchhā hai vaqt mujh pe girāñ hai girāñ rahe
tauhīn-e-sajda hai vo agar be-ḳhudī nahīñ
jab hosh hī rahā to vo sajde kahāñ rahe
phīkī bahār bhī hai mujhe aap ke baġhair
ik aap hī hoñ saath to rangīñ ḳhizāñ rahe
uf maiñ vahāñ bhī tishna-e-zauq-e-talab rahā
labrez lākhoñ shīsha-o-sāġhar jahāñ rahe
ai 'mauj' ham ne ġharq safīna hī kar diyā
minnat-kash-e-talātum-o-tūfāñ kahāñ rahe
mana ki tujh se dur bahut jaan-e-jaan rahe
lekin tere KHayal se ghafil kahan rahe
tang us pe kyon na wusat-e-kaun-o-makan rahe
gir jae jo nazar se tumhaari kahan rahe
mujh sa na koi kushta-e-yaad-e-KHizan rahe
lamhat-e-sar-KHushi bhi to mujh par giran rahe
sajdon ke baad kuchh to wafa ka nishan rahe
meri jabin rahe na rahe aastan rahe
yun be-niyaz-e-fikr-e-bahaar-o-KHizan rahe
do chaar roz jaise koi mehman rahe
rah-e-talab mein mil na saki manzil-e-umid
gum-karda raste mein bahut karwan rahe
paiham tasawwuraat-e-mohabbat ka shukriya
tum se qarib-tar hi rahe hum jahan rahe
kuchh to samajh sakunga nasheb-o-faraaz-e-dahr
achchha hai waqt mujh pe giran hai giran rahe
tauhin-e-sajda hai wo agar be-KHudi nahin
jab hosh hi raha to wo sajde kahan rahe
phiki bahaar bhi hai mujhe aap ke baghair
ek aap hi hon sath to rangin KHizan rahe
uf main wahan bhi tishna-e-zauq-e-talab raha
labrez lakhon shisha-o-saghar jahan rahe
ai 'mauj' hum ne gharq safina hi kar diya
minnat-kash-e-talatum-o-tufan kahan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.