manga tha humne din wo siyah raat de gaya
māñgā thā ham ne din vo siyah raat de gayā
sūraj hameñ añdhere kī sauġhāt de gayā
sikke mire ḳhulūs ke lauTā diye mujhe
apnī samajh meñ vo mujhe ḳhairāt de gayā
us ko ye zo'm thā ki hai vo shaukat-e-chaman
jangal kā ek phuul use maat de gayā
us kī hañsī meñ lai thī kisī jal-tarañg kī
mere laboñ ko pyaar ke naġhmāt de gayā
mazmūn-e-ishq par use kāmil giraft thī
nazroñ se kaise kaise havālāt de gayā
chehre se le gayā mirī pahchān chhīn kar
nā-sāzgār vaqt vo sadmāt de gayā
sab par mirī nigāh-e-karam ek sī rahī
maiñ bāñjh dhartiyoñ ko bhī barsāt de gayā
insāf mujh ko de ki na de vo magar 'shabāb'
thoḌā sā vaqt bahr-e-mulāqāt de gayā
manga tha hum ne din wo siyah raat de gaya
suraj hamein andhere ki saughat de gaya
sikke mere KHulus ke lauTa diye mujhe
apni samajh mein wo mujhe KHairaat de gaya
us ko ye zo'm tha ki hai wo shaukat-e-chaman
jangal ka ek phul use mat de gaya
us ki hansi mein lai thi kisi jal-tarang ki
mere labon ko pyar ke naghmat de gaya
mazmun-e-ishq par use kaamil giraft thi
nazron se kaise kaise hawalat de gaya
chehre se le gaya meri pahchan chhin kar
na-sazgar waqt wo sadmat de gaya
sab par meri nigah-e-karam ek si rahi
main banjh dhartiyon ko bhi barsat de gaya
insaf mujh ko de ki na de wo magar 'shabab'
thoDa sa waqt bahr-e-mulaqat de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.