mange hai tere milne ko be-tarah se dil aaj
māñge hai tire milne ko be-tarah se dil aaj
kal kyā hai jo milnā hai mirī jaan tū mil aaj
phir sub.h se āshob-e-qayāmat hai jahāñ meñ
chehre pe tire kin ne banāyā hai ye til aaj
ai girya tū ḳhātir se mirī kiijo na sarfa
maiñ ḳhūn-e-dil-e-ḳhasta kiyā tujh pe bahil aaj
chāhe hai agar kal ko tirī nashv-o-numā ho
dil khol ke daane kī tarah ḳhaak meñ rul aaj
kyā siina jo taḌphoñ ko nigah kī tirī jhele
is tiir se rah jaa.e na faulād kī sil aaj
yā-rab na paḌe asl se apnī koī yaañ duur
ye aab thā sab jitnī ki dekhe hai tū gil aaj
'qā.em' ye ġhazab kal to na TuuTe thā tire par
dekhā hai kahīñ tiiñ vo but-e-mehr-gusil aaj
mange hai tere milne ko be-tarah se dil aaj
kal kya hai jo milna hai meri jaan tu mil aaj
phir subh se aashob-e-qayamat hai jahan mein
chehre pe tere kin ne banaya hai ye til aaj
ai girya tu KHatir se meri kijo na sarfa
main KHun-e-dil-e-KHasta kiya tujh pe bahil aaj
chahe hai agar kal ko teri nashw-o-numa ho
dil khol ke dane ki tarah KHak mein rul aaj
kya sina jo taDphon ko nigah ki teri jhele
is tir se rah jae na faulad ki sil aaj
ya-rab na paDe asl se apni koi yan dur
ye aab tha sab jitni ki dekhe hai tu gil aaj
'qaem' ye ghazab kal to na TuTe tha tere par
dekha hai kahin tin wo but-e-mehr-gusil aaj
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.