mangne ke liye kuchh bacha hi nahin
māñgne ke liye kuchh bachā hī nahīñ
tū hameñ chāhiye thā milā hī nahīñ
bach ga.e kaise tum to ye hairat hī hai
ishq se koī ab tak bachā hī nahīñ
parvarish aa ga.ī ishq ke sāmne
ishq kī jang maiñ hārtā hī nahīñ
kyā huā hai tujhe pūchhte haiñ sabhī
marz merā mujhe ḳhud pata hī nahīñ
ham bure vaqt meñ kaam aate miyāñ
rābta aap ne par rakhā hī nahīñ
mangne ke liye kuchh bacha hi nahin
tu hamein chahiye tha mila hi nahin
bach gae kaise tum to ye hairat hi hai
ishq se koi ab tak bacha hi nahin
parwarish aa gai ishq ke samne
ishq ki jang main haarta hi nahin
kya hua hai tujhe puchhte hain sabhi
marz mera mujhe KHud pata hi nahin
hum bure waqt mein kaam aate miyan
rabta aap ne par rakha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.