mangte hi rah gae bekas dua barsat ki
māñgte hī rah ga.e bekas duā barsāt kī
āsmāñ tū ne na dikhlā.ī ghaTā barsāt kī
ḳhushk guzrā ab ke sāvan bhī bahut hairāñ huuñ maiñ
ho ga.ī tabdīl yā-rab fasl kyā barsāt kī
āsmāñ par ek bhī badlī nazar aatī nahīñ
hai nazar badlī huī vā-hasratā barsāt kī
māñgtā huuñ maiñ duā-e-abr ro-ro kar abhī
aarzū tujh ko agar hai sāqiyā barsāt kī
phuul murjhā.e hue haiñ ġhunche kumlā.e hue
haal par in ke karam kar ai havā barsāt kī
zard hai dhānoñ kī rangat ḳhushk dahqānoñ ke lab
bhej de kaalī ghaTā ab ai ḳhudā barsāt kī
intizār-e-abr meñ 'mahrūm' bhī hai be-qarār
apnī rahmat se dikhā is ko fazā barsāt kī
mangte hi rah gae bekas dua barsat ki
aasman tu ne na dikhlai ghaTa barsat ki
KHushk guzra ab ke sawan bhi bahut hairan hun main
ho gai tabdil ya-rab fasl kya barsat ki
aasman par ek bhi badli nazar aati nahin
hai nazar badli hui wa-hasrata barsat ki
mangta hun main dua-e-abr ro-ro kar abhi
aarzu tujh ko agar hai saqiya barsat ki
phul murjhae hue hain ghunche kumlae hue
haal par in ke karam kar ai hawa barsat ki
zard hai dhanon ki rangat KHushk dahqanon ke lab
bhej de kali ghaTa ab ai KHuda barsat ki
intizar-e-abr mein 'mahrum' bhi hai be-qarar
apni rahmat se dikha is ko faza barsat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.