mani ki qaid hai na koi aur hisab hai
ma.anī kī qaid hai na koī aur hisāb hai
merī luġhat meñ dil se murād iztirāb hai
maiñ paḌh chukā huuñ saare jahāñ ke uluum bhī
duniyā mire mizāj kī pahlī kitāb hai
niilī agar haiñ āñkheñ to añgūr surḳh haiñ
har qism kī sharāb yahāñ dastiyāb hai
pūchho agar charāġh se ye kaam ho sake
varna mirī nigāh meñ ik āftāb hai
bantā nahīñ kisī se bhī merā muvāzana
mere alāva kaun yahāñ kāmyāb hai
zulfoñ ko Thiik karne kī koshish na kījiye
ye kā.enāt roz-e-azal se ḳharāb hai
tezāb gir rahā hai zamān-o-makān par
bārish nahīñ hai ye to ḳhudā kā azaab hai
mani ki qaid hai na koi aur hisab hai
meri lughat mein dil se murad iztirab hai
main paDh chuka hun sare jahan ke ulum bhi
duniya mere mizaj ki pahli kitab hai
nili agar hain aankhen to angur surKH hain
har qism ki sharab yahan dastiyab hai
puchho agar charagh se ye kaam ho sake
warna meri nigah mein ek aaftab hai
banta nahin kisi se bhi mera muwazana
mere alawa kaun yahan kaamyab hai
zulfon ko Thik karne ki koshish na kijiye
ye kaenat roz-e-azal se KHarab hai
tezab gir raha hai zaman-o-makan par
barish nahin hai ye to KHuda ka azab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.