manus aisa ho gaya tanhaiyon se main
mānūs aisā ho gayā tanhā.iyoñ se maiñ
ab bhāgtā huuñ apnī hī parchhā.iyoñ se maiñ
duniyā ne ḳhair mujh ko to badnām kar diyā
Dartā huuñ ab to aap kī rusvā.iyoñ se maiñ
hiila to chāhiye koī jaane ke vāste
sab kuchh samajh gayā tirī añgḌā.iyoñ se maiñ
us kā malāl hai ki kahīñ kā nahīñ rahā
gir kar tire ḳhayāl kī bālā.iyoñ se maiñ
'fayyāz' is liye nahīñ uThte mire qadam
vāqif nahīñ huuñ ishq kī gahrā.iyoñ se maiñ
manus aisa ho gaya tanhaiyon se main
ab bhagta hun apni hi parchhaiyon se main
duniya ne KHair mujh ko to badnam kar diya
Darta hun ab to aap ki ruswaiyon se main
hila to chahiye koi jaane ke waste
sab kuchh samajh gaya teri angDaiyon se main
us ka malal hai ki kahin ka nahin raha
gir kar tere KHayal ki baalaiyon se main
'fayyaz' is liye nahin uThte mere qadam
waqif nahin hun ishq ki gahraiyon se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.