manus fazaon se nikalte hue kuchh log
mānūs fazāoñ se nikalte hue kuchh log
gumrāh hue ghar ko machalte hue kuchh log
tum narm samā'at pe dharo haath ki ham aag
ash’ār kī sūrat meñ ugalte hue kuchh log
dobāra bane to nahīñ TūTeñge kisī se
ham vasl kī hiddat se pighalte hue kuchh log
manzar meñ na hone kā ta.assuf hai unheñ kyā
ik samt khaḌe haath masalte hue kuchh log
phir aur kisī dahr ke mehmān bane haiñ
sūraj kī tarah asr ko Dhalte hue kuchh log
patthar ke hue to baḌī taklīf huī hai
ḳhvāboñ kī tarah aañkh meñ palte hue kuchh log
nuqsān buḌhāpe kā yahī sab se baḌā hai
rā'sha-zada hāthoñ se phisalte hue kuchh log
kyā pahle kabhī mahr nahīñ niklā yahāñ par
kyuuñ shor machāte haiñ ye jalte hue kuchh log
chalte haiñ sañbhal kar to ḳhasāre meñ rahe haiñ
achchhe rahe gar gir ke sambhalte hue kuchh log
manus fazaon se nikalte hue kuchh log
gumrah hue ghar ko machalte hue kuchh log
tum narm sama'at pe dharo hath ki hum aag
ash’ar ki surat mein ugalte hue kuchh log
dobara bane to nahin TuTenge kisi se
hum wasl ki hiddat se pighalte hue kuchh log
manzar mein na hone ka tassuf hai unhen kya
ek samt khaDe hath masalte hue kuchh log
phir aur kisi dahr ke mehman bane hain
suraj ki tarah asr ko Dhalte hue kuchh log
patthar ke hue to baDi taklif hui hai
KHwabon ki tarah aankh mein palte hue kuchh log
nuqsan buDhape ka yahi sab se baDa hai
ra'sha-zada hathon se phisalte hue kuchh log
kya pahle kabhi mahr nahin nikla yahan par
kyun shor machate hain ye jalte hue kuchh log
chalte hain sanbhal kar to KHasare mein rahe hain
achchhe rahe gar gir ke sambhalte hue kuchh log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.