manus ho gae hain andhe purane ghar se
mānūs ho ga.e haiñ andhe purāne ghar se
bāhar nahīñ nikalte ham raushnī ke Dar se
saa.e kī aarzū meñ lipTe hue haiñ ham sab
sunsān rāste meñ ātish-zada shajar se
ham ḳhaak ho ke bhī har mauj-e-havā se uljhe
yā'nī tirī vafā kā saudā gayā na sar se
kyā kyā na gul khileñge kyā kyā na jashn hoñge
is kisht-e-ārzū meñ bādal kabhī jo barse
tere huzūr the ham apnī nazar se ojhal
ḳhud ko bhī aaj dekhā gir kar tirī nazar se
ab tak hameñ gumāñ hai sahrā pe gulsitāñ kā
ik baar be-irāda guzrā thā vo udhar se
kyuuñ mutma.in khaḌe ho āsūdgān-e-sāhil
dariyā kā zor dekho gahrā.ī meñ utar ke
dil kā sukūñ luTā to sar kyuuñ rahā salāmat
kyuuñ zinda lauT aa.e ham 'arsh' us ke dar se
manus ho gae hain andhe purane ghar se
bahar nahin nikalte hum raushni ke Dar se
sae ki aarzu mein lipTe hue hain hum sab
sunsan raste mein aatish-zada shajar se
hum KHak ho ke bhi har mauj-e-hawa se uljhe
ya'ni teri wafa ka sauda gaya na sar se
kya kya na gul khilenge kya kya na jashn honge
is kisht-e-arzu mein baadal kabhi jo barse
tere huzur the hum apni nazar se ojhal
KHud ko bhi aaj dekha gir kar teri nazar se
ab tak hamein guman hai sahra pe gulsitan ka
ek bar be-irada guzra tha wo udhar se
kyun mutmain khaDe ho aasudgan-e-sahil
dariya ka zor dekho gahrai mein utar ke
dil ka sukun luTa to sar kyun raha salamat
kyun zinda lauT aae hum 'arsh' us ke dar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.