mar deta mujhe miTa deta
maar detā mujhe miTā detā
is se baḌh kar vo kyā sazā detā
shart hotī agar vafā kī yahī
qatra-qatra maiñ ḳhūñ-bahā detā
phuul hotā to bāñTtā ḳhushbū
maiñ to kāñTā thā tujh ko kyā detā
bāñdh letā jo paaoñ meñ ghuñgrū
saarī duniyā ko maiñ nachā detā
maiñ na gar roktā to vo pāgal
apne hāthoñ se ghar jalā detā
jhāñk letā jo mere dil meñ 'amīn'
merā dushman mujhe duā detā
mar deta mujhe miTa deta
is se baDh kar wo kya saza deta
shart hoti agar wafa ki yahi
qatra-qatra main KHun-baha deta
phul hota to banTta KHushbu
main to kanTa tha tujh ko kya deta
bandh leta jo paon mein ghungru
sari duniya ko main nacha deta
main na gar rokta to wo pagal
apne hathon se ghar jala deta
jhank leta jo mere dil mein 'amin'
mera dushman mujhe dua deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.