marke kuchh zindagi ke yun bhi sar karta raha
ma.arke kuchh zindagī ke yuuñ bhī sar kartā rahā
jo muḳhālif the maiñ un ke dil meñ ghar kartā rahā
yuuñ maiñ apnī fikr-e-ahsan mo'atabar kartā rahā
dushmanoñ kī sab ḳhatā.eñ darguzar kartā rahā
gar mohabbat jurm hai to dosto taslīm hai
maiñ ḳhatā.eñ is tarah kī umr bhar kartā rahā
zindagī kī dhuup kā ehsās kyā hogā use
chāñd tāroñ kī jo chhāñv meñ safar kartā rahā
shahr ke bāhar bhī us ke naam kī ab dhuum hai
zindagī ko jo faqīrāna basar kartā rahā
jo mere apnoñ meñ thā us ne to kuchh sochā nahīñ
ġhair to phir ġhair thā zer-o-zabar kartā rahā
zindagī se jab ziyāda maut thī mere qarīb
marhale aise bhī tai maiñ be-ḳhatar kartā rahā
'shauq' ye maanā bahut dushvār thā she.rī safar
phir bhī fankāroñ pe terā fan asar kartā rahā
marke kuchh zindagi ke yun bhi sar karta raha
jo muKHalif the main un ke dil mein ghar karta raha
yun main apni fikr-e-ahsan mo'atabar karta raha
dushmanon ki sab KHataen darguzar karta raha
gar mohabbat jurm hai to dosto taslim hai
main KHataen is tarah ki umr bhar karta raha
zindagi ki dhup ka ehsas kya hoga use
chand taron ki jo chhanw mein safar karta raha
shahr ke bahar bhi us ke nam ki ab dhum hai
zindagi ko jo faqirana basar karta raha
jo mere apnon mein tha us ne to kuchh socha nahin
ghair to phir ghair tha zer-o-zabar karta raha
zindagi se jab ziyaada maut thi mere qarib
marhale aise bhi tai main be-KHatar karta raha
'shauq' ye mana bahut dushwar tha sheri safar
phir bhi fankaron pe tera fan asar karta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.