marne wali umangon ki tarah hota hai
mārne vaalī umangoñ kī tarah hotā hai
ishq bārūdī-surañgoñ kī tarah hotā hai
raushnī mujh pe bhī itnā hī asar kartī hai
merā jalnā bhī patangoñ kī tarah hotā hai
baa'd meñ aatī hai tahzīb-e-mohabbat sāhib
har koī pahle lafangoñ kī tarah hotā hai
us se bachnā hī munāsib hai zarā dhyān rahe
hijr saffāk nahangoñ kī tarah hotā hai
hai mirī ishq kī dargāh se nisbat so mirā
baiThnā uThnā malangoñ kī tarah hotā hai
ye hai jazbātī makīnoñ kā ilāqa 'ejāz'
so yahāñ amn bhī jangoñ kī tarah hotā hai
marne wali umangon ki tarah hota hai
ishq barudi-surangon ki tarah hota hai
raushni mujh pe bhi itna hi asar karti hai
mera jalna bhi patangon ki tarah hota hai
ba'd mein aati hai tahzib-e-mohabbat sahib
har koi pahle lafangon ki tarah hota hai
us se bachna hi munasib hai zara dhyan rahe
hijr saffak nahangon ki tarah hota hai
hai meri ishq ki dargah se nisbat so mera
baiThna uThna malangon ki tarah hota hai
ye hai jazbaati makinon ka ilaqa 'ejaz'
so yahan amn bhi jangon ki tarah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.