masum dil ki hasraten lafzon mein Dhaal kar
mā'sūm dil kī hasrateñ lafzoñ meñ Dhaal kar
rakhe haiñ ham ne dhuup meñ jugnū nikāl kar
hai shiddat-e-talab kā mire alamiya yahī
rakh de na merī pyaas samundar ubaal kar
chaltī nahīñ mohabbatoñ meñ jald-bāziyāñ
hote nahīñ ye faisle sikke uchhāl kar
vā'doñ ke jo khilaune thamā kar gayā thā tū
maiñ ne bhī rakh diye haiñ kahīñ par sañbhāl kar
phir yuuñ huā ki sabz ho uTThā vo regzār
nikle jab un ke haath meñ ham haath Daal kar
tujh se jirah karūñgā magar shart hai yahī
jis kā javāb tū ho mujhe vo savāl kar
ik nāznīñ kā dil huā hai gum-shuda kahīñ
aur ham khaḌe haiñ sāmne jebeñ nikāl kar
ma'sum dil ki hasraten lafzon mein Dhaal kar
rakhe hain hum ne dhup mein jugnu nikal kar
hai shiddat-e-talab ka mere alamiya yahi
rakh de na meri pyas samundar ubaal kar
chalti nahin mohabbaton mein jald-baziyan
hote nahin ye faisle sikke uchhaal kar
wa'don ke jo khilaune thama kar gaya tha tu
main ne bhi rakh diye hain kahin par sanbhaal kar
phir yun hua ki sabz ho uTTha wo regzar
nikle jab un ke hath mein hum hath Dal kar
tujh se jirah karunga magar shart hai yahi
jis ka jawab tu ho mujhe wo sawal kar
ek naznin ka dil hua hai gum-shuda kahin
aur hum khaDe hain samne jeben nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.