Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mawara hue kab the mat hone wali thi

Amar Bilal

mawara hue kab the mat hone wali thi

Amar Bilal

MORE BYAmar Bilal

    māvarā hue kab the maat hone vaalī thī

    raushnī laraztī thī raat hone vaalī thī

    zehn ke vakīloñ ne kyā javāb denā thā

    jism ke dhuñdalkoñ tak zaat hone vaalī thī

    lafz apne hoñToñ se sarhadoñ pe utre the

    fāsla baaqī thā baat hone vaalī thī

    aaj phir udāsī thī shaam se parindoñ meñ

    aaj phir daraḳhtoñ par raat hone vaalī thī

    aks thā jo paanī se aa.ine meñ utrā thā

    maiñ 'amar' akelā thā maat hone vaalī thī

    mawara hue kab the mat hone wali thi

    raushni larazti thi raat hone wali thi

    zehn ke wakilon ne kya jawab dena tha

    jism ke dhundalkon tak zat hone wali thi

    lafz apne honTon se sarhadon pe utre the

    fasla hi baqi tha baat hone wali thi

    aaj phir udasi thi sham se parindon mein

    aaj phir daraKHton par raat hone wali thi

    aks tha jo pani se aaine mein utra tha

    main 'amar' akela tha mat hone wali thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now