mayus-e-sham-e-gham tujhe isko KHabar bhi hai
māyūs-e-shām-e-ġham tujhe is kī ḳhabar bhī hai
tārīkiyoñ kī aaḌ meñ nūr-e-sahar bhī hai
mumkin nahīñ hai dīda-o-dānista tark-e-ishq
majbūr sirf dil hī nahīñ hai nazar bhī hai
ye munhasir hai aap pe jaise bhī dekhiye
nā-mo'tabar bhī hai vo nazar mo'atabar bhī hai
tū hī batā de mujh ko ki sajde kahāñ karūñ
mābain-e-dair-o-ka.aba tirā sang-e-dar bhī hai
tere junūn-e-shauq ne kyā gul khilā.e haiñ
begāna-e-bahār the kuchh gul ḳhabar bhī hai
sab rah-rav-e-hayāt haiñ lekin na.e na.e
manzil vahī hai aur vahī rahguzar bhī hai
us ke karam kā shukr kahāñ tak adā ho 'shauq'
sozish bhī hai ḳhalish bhī hai dard-e-jigar bhī hai
mayus-e-sham-e-gham tujhe is ki KHabar bhi hai
tarikiyon ki aaD mein nur-e-sahar bhi hai
mumkin nahin hai dida-o-danista tark-e-ishq
majbur sirf dil hi nahin hai nazar bhi hai
ye munhasir hai aap pe jaise bhi dekhiye
na-mo'tabar bhi hai wo nazar mo'atabar bhi hai
tu hi bata de mujh ko ki sajde kahan karun
mabain-e-dair-o-kaba tera sang-e-dar bhi hai
tere junun-e-shauq ne kya gul khilae hain
begana-e-bahaar the kuchh gul KHabar bhi hai
sab rah-raw-e-hayat hain lekin nae nae
manzil wahi hai aur wahi rahguzar bhi hai
us ke karam ka shukr kahan tak ada ho 'shauq'
sozish bhi hai KHalish bhi hai dard-e-jigar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.