Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mayus ho ke jo dar-e-jaanan se aae hain

Sabir Naseerabadi

mayus ho ke jo dar-e-jaanan se aae hain

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    māyūs ho ke jo dar-e-jānāñ se aa.e haiñ

    farzāne tang apne dil-o-jāñ se aa.e haiñ

    patthar nahīñ haiñ sahn meñ ai chashm-e-nā-sipās

    ye phuul haiñ jo dast-e-nigārāñ se aa.e haiñ

    khā.eñ na kyoñ fareb-e-vafā jān-būjh kar

    ham kyā kareñ ki aaj pashemāñ se aa.e haiñ

    āḳhir thā kaun vāqif-e-ādāb-e-zindagī

    ye sab lavāzimāt tirī haañ se aa.e haiñ

    aa.e haiñ shaiḳh bazm-e-subū meñ zah-e-nasīb

    is se ġharaz nahīñ ki gurezāñ se aa.e haiñ

    'sābir' ho aisī maut se kyoñ zindagī 'azīz

    ham be-qarār ho ke pareshāñ se aa.e haiñ

    mayus ho ke jo dar-e-jaanan se aae hain

    farzane tang apne dil-o-jaan se aae hain

    patthar nahin hain sahn mein ai chashm-e-na-sipas

    ye phul hain jo dast-e-nigaran se aae hain

    khaen na kyon fareb-e-wafa jaan-bujh kar

    hum kya karen ki aaj pasheman se aae hain

    aaKHir tha kaun waqif-e-adab-e-zindagi

    ye sab lawazimat teri han se aae hain

    aae hain shaiKH bazm-e-subu mein zah-e-nasib

    is se gharaz nahin ki gurezan se aae hain

    'sabir' ho aisi maut se kyon zindagi 'aziz

    hum be-qarar ho ke pareshan se aae hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now