mayus ho kyon zulm ki tardid bhi hogi
māyūs ho kyoñ zulm kī tardīd bhī hogī
jab aaj moharram hai to kal eid bhī hogī
be-zauq-e-amal dahr meñ kuchh bhī nahīñ miltā
jauhar hai agar tum meñ to tā.īd bhī hogī
ḳhāmoshī-e-paiham meñ bahar-hāl sukūñ hai
tum shikva ba-lab hoge to tanqīd bhī hogī
phir bhī na sañbhal paa.e to taqdīr tumhārī
har laġhzish-e-pā par tumheñ tākīd bhī hogī
sab maslahat-e-vaqt se uktā.e hue haiñ
dīvāna koī uTThe to taqlīd bhī hogī
taḳhlīq ko miltī hai jilā ḳhūn-e-jigar se
fankār jo muḳhlis hai to tamhīd bhī hogī
va.adoñ pe ḳhudāyān-e-siyāsat ke na jaanā
va.ade hī nahīñ va.adoñ kī tajdīd bhī hogī
mazmūñ ke mutābiq na ho gar lafzoñ kī tartīb
lafzī hī nahīñ ma.anavī ta.aqīd bhī hogī
ye soch kar elān-e-vafā kījiye 'tālib'
tā.īd agar hogī to tardīd bhī hogī
mayus ho kyon zulm ki tardid bhi hogi
jab aaj moharram hai to kal eid bhi hogi
be-zauq-e-amal dahr mein kuchh bhi nahin milta
jauhar hai agar tum mein to taid bhi hogi
KHamoshi-e-paiham mein bahar-haal sukun hai
tum shikwa ba-lab hoge to tanqid bhi hogi
phir bhi na sanbhal pae to taqdir tumhaari
har laghzish-e-pa par tumhein takid bhi hogi
sab maslahat-e-waqt se uktae hue hain
diwana koi uTThe to taqlid bhi hogi
taKHliq ko milti hai jila KHun-e-jigar se
fankar jo muKHlis hai to tamhid bhi hogi
wadon pe KHudayan-e-siyasat ke na jaana
wade hi nahin wadon ki tajdid bhi hogi
mazmun ke mutabiq na ho gar lafzon ki tartib
lafzi hi nahin manawi taqid bhi hogi
ye soch kar elan-e-wafa kijiye 'talib'
taid agar hogi to tardid bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.