mayus kis liye ho uTho baat karte hain
māyūs kis liye ho uTho baat karte haiñ
duniyā ke mas.aloñ pe chalo baat karte haiñ
niyyat meñ khoT garche tumhārī nahīñ hai dost
kyoñ bhāge jā rahe ho ruko baat karte haiñ
tum ko kisī bhī baat pe qaabū nahīñ rahā
pahle to apnī had meñ raho baat karte haiñ
kuchh aisā karte haiñ ki vo ḳhāmosh hī rahe
zaḳhmoñ pe zaḳhm dil ko na do baat karte haiñ
tum ne ye kaise sochā ki sar par biThā.eñge
dukh-dard apne naam karo baat karte haiñ
ai ġham zamāne baad ḳhushī milne aa.ī hai
kyoñ darmiyāñ ho apne haTo baat karte haiñ
masrūf har koī hai yahāñ jānte haiñ ham
fursat ho apne paas milo baat karte haiñ
gir kar sañbhalnā itnā kahāñ sahl hai 'nazar'
chhoḌo ravish ye TeḌhī suno baat karte haiñ
mayus kis liye ho uTho baat karte hain
duniya ke masalon pe chalo baat karte hain
niyyat mein khoT garche tumhaari nahin hai dost
kyon bhage ja rahe ho ruko baat karte hain
tum ko kisi bhi baat pe qabu nahin raha
pahle to apni had mein raho baat karte hain
kuchh aisa karte hain ki wo KHamosh hi rahe
zaKHmon pe zaKHm dil ko na do baat karte hain
tum ne ye kaise socha ki sar par biThaenge
dukh-dard apne nam karo baat karte hain
ai gham zamane baad KHushi milne aai hai
kyon darmiyan ho apne haTo baat karte hain
masruf har koi hai yahan jaante hain hum
fursat ho apne pas milo baat karte hain
gir kar sanbhalna itna kahan sahl hai 'nazar'
chhoDo rawish ye TeDhi suno baat karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.