mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai
māyūsī kī kaifiyyat jab dil par taarī ho jaatī hai
rafta rafta dīn-o-duniyā se be-zārī ho jaatī hai
avval avval ḳhush aatā hai pariyoñ ke ḳhvāboñ meñ rahnā
ba.ad meñ lekin ye hālat zehnī bīmārī ho jaatī hai
aql pe parda paḌ jaatā hai aur ham sab kuchh kho dete haiñ
jab koī shaḳhsiyyat ham ko had se pyārī ho jaatī hai
rizq muqaddar meñ likhā hai phir ye kārobār-e-jahāñ kyā
ik ik daana kamāne meñ kis darja ḳhvārī ho jaatī hai
ba.az maqām aise hote haiñ jin se aage baḌh jaa.eñ to
un tak vāpas aane meñ behad dushvārī ho jaatī hai
ham to she.rī canvas par bas dil kā haal raqam karte haiñ
sachche jazboñ se is par ḳhud naqsh-nigārī ho jaatī hai
aksar mujh se mahīnoñ 'kāshif' koī sher nahīñ ho paatā
taaza zaḳhm magar lagte hī tāza-kārī ho jaatī hai
mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai
rafta rafta din-o-duniya se be-zari ho jati hai
awwal awwal KHush aata hai pariyon ke KHwabon mein rahna
baad mein lekin ye haalat zehni bimari ho jati hai
aql pe parda paD jata hai aur hum sab kuchh kho dete hain
jab koi shaKHsiyyat hum ko had se pyari ho jati hai
rizq muqaddar mein likha hai phir ye karobar-e-jahan kya
ek ek dana kamane mein kis darja KHwari ho jati hai
baz maqam aise hote hain jin se aage baDh jaen to
un tak wapas aane mein behad dushwari ho jati hai
hum to sheri canwas par bas dil ka haal raqam karte hain
sachche jazbon se is par KHud naqsh-nigari ho jati hai
aksar mujh se mahinon 'kashif' koi sher nahin ho pata
taza zaKHm magar lagte hi taza-kari ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.