mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein
mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
māyūsiyoñ kā aalam andāz-e-guftugū meñ
nākāmiyoñ kā mātam iz.hār-e-ārzū meñ
muhtāj-e-ġhair kab thā qissa mirā tumhārā
kyā daḳhl thā kisī kā aapas kī guftugū meñ
afsāna-e-vafā kī qaa.em ho koī surḳhī
āñkhoñ se ashk nikleñ Duube hue lahū meñ
vo haiñ jafā ke ḳhūgar mujh ko vafā kī ḳhvāhish
maiñ un kī justujū meñ vo merī justujū meñ
manzil pe kyā pahuñchte allah re nā-murādī
uTThe qadam to baiThā dil rāh-e-justujū meñ
ġhāfil guloñ kā is meñ kal tak patā na hogā
kyā mahv ho rahā hai duniyā-e-rang-o-bū meñ
zāhid ko mai-kade meñ le aa.e kaash koī
kambaḳht mar miTegā jannat kī aarzū meñ
sau chaak ho rahe the har chaak se numāyāñ
karte rafū kahāñ tak dāmān-e-ārzū meñ
'mas.ūd' ek sāġhar kaafī thā bahr-e-ishrat
kyoñ pī sharāb itnī kāñTā lagā gulū meñ
mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein
nakaamiyon ka matam izhaar-e-arzu mein
muhtaj-e-ghair kab tha qissa mera tumhaara
kya daKHl tha kisi ka aapas ki guftugu mein
afsana-e-wafa ki qaem ho koi surKHi
aankhon se ashk niklen Dube hue lahu mein
wo hain jafa ke KHugar mujh ko wafa ki KHwahish
main un ki justuju mein wo meri justuju mein
manzil pe kya pahunchte allah re na-muradi
uTThe qadam to baiTha dil rah-e-justuju mein
ghafil gulon ka is mein kal tak pata na hoga
kya mahw ho raha hai duniya-e-rang-o-bu mein
zahid ko mai-kade mein le aae kash koi
kambaKHt mar miTega jannat ki aarzu mein
sau chaak ho rahe the har chaak se numayan
karte rafu kahan tak daman-e-arzu mein
'masud' ek saghar kafi tha bahr-e-ishrat
kyon pi sharab itni kanTa laga gulu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.