mazi ka tajassus hai na farda ki KHabar hai
maazī kā tajassus hai na fardā kī ḳhabar hai
ik lamha-e-maujūd hai aur apnā safar hai
qaabū meñ haiñ a.asāb na jazbāt na anfās
bikhrī huī har chiiz hai phailā huā ghar hai
har sābit-o-sayyār kī ik had hai muqarrar
aflāk kī vus.at meñ bhī dīvāreñ haiñ dar hai
kyā lamha-e-tashkīk koī zehn meñ utrā
kyā baat hai kyoñ fikr mirī zer-o-zabar hai
ā.īna-garī siikh to lī shahr meñ sab ne
kyā ā.ina-ausāf koī ā.īna-gar hai
marbūt hai tahzīb-e-kuhan se mirā rishta
lahje meñ buzurgoñ kī duāoñ kā asar hai
kuchh itnā baḌhā bojh subuk ho gayā shāna
ye ishq bhī ai 'rāz' ajab bār-e-digar hai
mazi ka tajassus hai na farda ki KHabar hai
ek lamha-e-maujud hai aur apna safar hai
qabu mein hain aasab na jazbaat na anfas
bikhri hui har chiz hai phaila hua ghar hai
har sabit-o-sayyar ki ek had hai muqarrar
aflak ki wusat mein bhi diwaren hain dar hai
kya lamha-e-tashkik koi zehn mein utra
kya baat hai kyon fikr meri zer-o-zabar hai
aaina-gari sikh to li shahr mein sab ne
kya aaina-ausaf koi aaina-gar hai
marbut hai tahzib-e-kuhan se mera rishta
lahje mein buzurgon ki duaon ka asar hai
kuchh itna baDha bojh subuk ho gaya shana
ye ishq bhi ai 'raaz' ajab bar-e-digar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.