mazi ke gulsitan mein jab le chalengi aankhen
maazī ke gulsitāñ meñ jab le chaleñgī āñkheñ
lamhoñ kī ḳhushbuoñ se mahkā kareñgī āñkheñ
yādoñ ke abr jab bhī chhā.eñge zehn-o-dil par
be-sāḳhta jhamā-jham bahne lageñgī āñkheñ
alfāz jab na hoñge hoñToñ pe hoñge taale
aise meñ dil kī saarī bāteñ kaheñgī āñkheñ
ma.alūm hai ki us ne aanā nahīñ hai vāpas
har-vaqt phir bhī us kā rasta takeñgī āñkheñ
kitne bhī hoñ samundar ashkoñ ke un meñ chāhe
duniyā ke sāmne par hañstī raheñgī āñkheñ
dīvār tākte hī guzregī raat shāyad
nīñdeñ hī ruuTh jaa.eñ to kyā kareñgī āñkheñ
ziddī haiñ is qadar ye suntī nahīñ hai kahnā
bojhal hoñ chāhe palkeñ phir bhī jageñgī āñkheñ
majbūr haiñ ye shāyad fitrat se apnī 'madhuman'
māyūsiyoñ meñ bhī kuchh sapne buneñgī āñkheñ
mazi ke gulsitan mein jab le chalengi aankhen
lamhon ki KHushbuon se mahka karengi aankhen
yaadon ke abr jab bhi chhaenge zehn-o-dil par
be-saKHta jhama-jham bahne lagengi aankhen
alfaz jab na honge honTon pe honge tale
aise mein dil ki sari baaten kahengi aankhen
malum hai ki us ne aana nahin hai wapas
har-waqt phir bhi us ka rasta takengi aankhen
kitne bhi hon samundar ashkon ke un mein chahe
duniya ke samne par hansti rahengi aankhen
diwar takte hi guzregi raat shayad
ninden hi ruTh jaen to kya karengi aankhen
ziddi hain is qadar ye sunti nahin hai kahna
bojhal hon chahe palken phir bhi jagengi aankhen
majbur hain ye shayad fitrat se apni 'madhuman'
mayusiyon mein bhi kuchh sapne bunengi aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.