mazi ke jab zaKHm ubharne lagte hain
maazī ke jab zaḳhm ubharne lagte haiñ
āñkhoñ se jazbāt bikharne lagte haiñ
zehn-o-dil meñ us kī yādeñ aate hī
lafz sharārat ḳhud hī karne lagte haiñ
kar ke yaad tire māthe kā bosa ham
uñglī ab hoñThoñ pe dharne lagte haiñ
terī maiñ tasvīr kabhī jo dekhūñ to
mere din aur raat Thaharne lagte haiñ
bin tere sāñsoñ kī hālat mat pūchho
ghuT ghuT kar rozāna marne lagte haiñ
ham par añdhere kuchh haavī haiñ aise to
ham ḳhud ke saa.e se Darne lagte haiñ
'mīt' kahānī ulfat kī jab paḌhtā huuñ
āñkhoñ se kirdār guzarne lagte haiñ
mazi ke jab zaKHm ubharne lagte hain
aankhon se jazbaat bikharne lagte hain
zehn-o-dil mein us ki yaaden aate hi
lafz shararat KHud hi karne lagte hain
kar ke yaad tere mathe ka bosa hum
ungli ab honThon pe dharne lagte hain
teri main taswir kabhi jo dekhun to
mere din aur raat Thaharne lagte hain
bin tere sanson ki haalat mat puchho
ghuT ghuT kar rozana marne lagte hain
hum par andhere kuchh hawi hain aise to
hum KHud ke sae se Darne lagte hain
'mit' kahani ulfat ki jab paDhta hun
aankhon se kirdar guzarne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.