mazi ke KHayalat se rishta nahin mera
maazī ke ḳhayālāt se rishta nahīñ merā
bhūlī huī har baat se rishta nahīñ merā
behosh qadam le ke chale jaate haiñ mujh ko
varna to ḳharābāt se rishta nahīñ merā
us daur ke hālāt ko bhūlā nahīñ ab tak
is daur ke hālāt se rishta nahīñ merā
maiñ apne hī ashkoñ kā muhāfiz huuñ vagarna
be-vaqt kī barsāt se rishta nahīñ merā
vaañ shaad ho har koī yaañ afsurda nigāheñ
kuchh aise musāvāt se rishta nahīñ merā
maiñ fitna-e-imkān-e-samāvāt se hairāñ
duniyā ke ḳhurāfāt se rishta nahīñ merā
mujh ko mirī har ek 'ibādat se sarokār
lafzoñ ke savālāt se rishta nahīñ merā
apnoñ kā satāyā huuñ 'ḳhayāl' aaj bhī lekin
apnī hī kisī zaat se rishta nahīñ merā
mazi ke KHayalat se rishta nahin mera
bhuli hui har baat se rishta nahin mera
behosh qadam le ke chale jate hain mujh ko
warna to KHarabaat se rishta nahin mera
us daur ke haalat ko bhula nahin ab tak
is daur ke haalat se rishta nahin mera
main apne hi ashkon ka muhafiz hun wagarna
be-waqt ki barsat se rishta nahin mera
wan shad ho har koi yan afsurda nigahen
kuchh aise musawat se rishta nahin mera
main fitna-e-imkan-e-samawat se hairan
duniya ke KHurafat se rishta nahin mera
mujh ko meri har ek 'ibaadat se sarokar
lafzon ke sawalat se rishta nahin mera
apnon ka sataya hun 'KHayal' aaj bhi lekin
apni hi kisi zat se rishta nahin mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.