mazi-o-haal ki taswir se hum uljhe hain
māzī-o-hāl kī tasvīr se ham uljhe haiñ
āj-kal apnī hī taqdīr se ham uljhe haiñ
mausam-e-gul kī ināyat hai ki sahrā sahrā
apne hī paañv kī zanjīr se ham uljhe haiñ
ham ne duniyā ko diyā ishq-o-mohabbat kā sabaq
kaun kahtā hai ki shamshīr se ham uljhe haiñ
zulf kī yaad kabhī us ruḳh-e-zebā kā ḳhayāl
zulmatoñ se kabhī tanvīr se ham uljhe haiñ
kārgar ho na sakā harf-o-hikāyat kā tilism
dekhiye sāhib-e-taqrīr se ham uljhe haiñ
ham se pūchho haq-o-bātil kī sadāqat aa kar
taḳhta-e-dār kī zanjīr se ham uljhe haiñ
likh diyā kātib-e-taqdīr ne jo kuchh 'hairat'
har ghaḌī bas isī tahrīr se ham uljhe haiñ
mazi-o-haal ki taswir se hum uljhe hain
aaj-kal apni hi taqdir se hum uljhe hain
mausam-e-gul ki inayat hai ki sahra sahra
apne hi panw ki zanjir se hum uljhe hain
hum ne duniya ko diya ishq-o-mohabbat ka sabaq
kaun kahta hai ki shamshir se hum uljhe hain
zulf ki yaad kabhi us ruKH-e-zeba ka KHayal
zulmaton se kabhi tanwir se hum uljhe hain
kargar ho na saka harf-o-hikayat ka tilism
dekhiye sahib-e-taqrir se hum uljhe hain
hum se puchho haq-o-baatil ki sadaqat aa kar
taKHta-e-dar ki zanjir se hum uljhe hain
likh diya katib-e-taqdir ne jo kuchh 'hairat'
har ghaDi bas isi tahrir se hum uljhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.