mabaada kal husn-e-be-badal par zawal aae
mabādā kal husn-e-be-badal par zavāl aa.e
ham apnī āñkhoñ ko hī ḳhalā meñ uchhāl aa.e
jo tere āñchal kī sarsarāhaT pe nāchtā thā
vo dil zarūrat kī nangī mayyat pe Daal aa.e
maiñ ḳhushk sahrā kī ret par likh diyā gayā huuñ
havā miTā de yā ban ke tū barshgāl aa.e
batā rahe the tirī phaban ke nafīs tevar
hamāre marne ke tere jiine ke saal aa.e
ye mutma.in zindagī hameñ khokhlā na kar de
na.e sire se vo dard kar ke bahāl aa.e
ajiib shātir hai ek hī chaal chal rahā hai
nayā tamāsha na.e zamāne kī chaal aa.e
mabaada kal husn-e-be-badal par zawal aae
hum apni aankhon ko hi KHala mein uchhaal aae
jo tere aanchal ki sarsarahaT pe nachta tha
wo dil zarurat ki nangi mayyat pe Dal aae
main KHushk sahra ki ret par likh diya gaya hun
hawa miTa de ya ban ke tu barshgal aae
bata rahe the teri phaban ke nafis tewar
hamare marne ke tere jine ke sal aae
ye mutmain zindagi hamein khokhla na kar de
nae sire se wo dard kar ke bahaal aae
ajib shatir hai ek hi chaal chal raha hai
naya tamasha nae zamane ki chaal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.