machalti hain machalti hain machal kar Dub jati hain
machaltī haiñ machaltī haiñ machal kar Duub jaatī haiñ
tirī yādeñ mire ġham ko ġhazal kar Duub jaatī haiñ
kahīñ se bhī nahīñ miTtī tamannā.eñ vo āḳhir meñ
do āñkhoñ ke kināroñ se nikal kar Duub jaatī haiñ
kabhī dekhā hai tum ne machhliyoñ ko ḳhud-kushī karte
vo sāhil pe samundar se uchhal kar Duub jaatī haiñ
samundar meñ jo gir jaa.eñ hamārī pyaas kī būñdeñ
to vo chup-chāp gauhar meñ badal kar Duub jaatī haiñ
machalti hain machalti hain machal kar Dub jati hain
teri yaaden mere gham ko ghazal kar Dub jati hain
kahin se bhi nahin miTti tamannaen wo aaKHir mein
do aankhon ke kinaron se nikal kar Dub jati hain
kabhi dekha hai tum ne machhliyon ko KHud-kushi karte
wo sahil pe samundar se uchhal kar Dub jati hain
samundar mein jo gir jaen hamari pyas ki bunden
to wo chup-chap gauhar mein badal kar Dub jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.