madad ai zabt sham-e-zindagi lahrai jati hai
madad ai zabt sham-e-zindagī lahrā.ī jaatī hai
fuġhāñ ke saath khiñch kar jaañ laboñ par aa.ī jaatī hai
agar tū zindagī chāhe to jaañ nazr-e-vafā kar de
yahī vo jins-e-nādir hai jo kho kar paa.ī jaatī hai
dil-e-āshufta-sāmāñ bāryāb-e-anjuman kyoñ ho
ki us ke ranj se terī ḳhushī sharmā.ī jaatī hai
ḳhudā mahfūz rakkhe ham-navāyān-e-gulistāñ ko
tabī.at kyoñ qafas meñ ḳhud-baḳhud ghabrā.ī jaatī hai
dil-e-īzā-talab ko muzhda-e-ārām be-ma.anī
ye vo kashtī hai jo tūfān se Takrā.ī jaatī hai
ḳhudā nā-karda bijlī ne idhar dekhā to kyā hogā
shamīm-e-gul se shāḳh-e-āshiyāñ tharrā.ī jaatī hai
vo zabt-e-āh par ai 'faiz' mujh se bad-gumāñ kyoñ haiñ
nishān-e-ġham ḳhamoshī hai lihāzā paa.ī jaatī hai
madad ai zabt sham-e-zindagi lahrai jati hai
fughan ke sath khinch kar jaan labon par aai jati hai
agar tu zindagi chahe to jaan nazr-e-wafa kar de
yahi wo jins-e-nadir hai jo kho kar pai jati hai
dil-e-ashufta-saman baryab-e-anjuman kyon ho
ki us ke ranj se teri KHushi sharmai jati hai
KHuda mahfuz rakkhe ham-nawayan-e-gulistan ko
tabiat kyon qafas mein KHud-baKHud ghabrai jati hai
dil-e-iza-talab ko muzhda-e-aram be-mani
ye wo kashti hai jo tufan se Takrai jati hai
KHuda na-karda bijli ne idhar dekha to kya hoga
shamim-e-gul se shaKH-e-ashiyan tharrai jati hai
wo zabt-e-ah par ai 'faiz' mujh se bad-guman kyon hain
nishan-e-gham KHamoshi hai lihaza pai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.