maddham ho gae apne sapne be-dam ho gain apni talashen
maddham ho ga.e apne sapne be-dam ho ga.iiñ apnī talāsheñ
vīrāñ dil meñ dafn haiñ kitnī rangīñ ummīdoñ kī lāsheñ
paiham apne ashk bahe haiñ dil ne kyā kyā jaur sahe haiñ
āfāt-e-nāgāh ke charke logoñ ke tā’noñ kī ḳharāsheñ
har jā zikr mirī nik.hat kā har jā mahrūmī kā charchā
duniyā meñ badnām huī haiñ qismat se merī parḳhāsheñ
husn kā josh na 'ishq kī garmī mahv hue saare hangāme
be-jāñ murda sard fasurda ziist ke lamhe barf kī qāsheñ
kis ne merī biptā rad kī kis ne merā haath haTāyā
ab kyoñ sab apne begāne tā'ne deñ ilzām tarāsheñ
maddham ho gae apne sapne be-dam ho gain apni talashen
viran dil mein dafn hain kitni rangin ummidon ki lashen
paiham apne ashk bahe hain dil ne kya kya jaur sahe hain
aafat-e-nagah ke charke logon ke ta’non ki KHarashen
har ja zikr meri nikhat ka har ja mahrumi ka charcha
duniya mein badnam hui hain qismat se meri parKHashen
husn ka josh na 'ishq ki garmi mahw hue sare hangame
be-jaan murda sard fasurda zist ke lamhe barf ki qashen
kis ne meri bipta rad ki kis ne mera hath haTaya
ab kyon sab apne begane ta'ne den ilzam tarashen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.