maddham suron ka dip sulagta hai raat mein
maddham suroñ kā diip sulagtā hai raat meñ
ḳhushbū sā ik ḳhayāl mahaktā hai raat meñ
hairat-kade ke biich meñ rahtā hai raat meñ
shāyad vo merī aañkh se taktā hai raat meñ
sochoñ meñ rakh liyā hai mujhe kis kī aañkh ne
mere liye bhī koī pighaltā hai raat meñ
utrā hai mere harf meñ phir se koī ḳhayāl
mere qalam kī aabrū rakhtā hai raat meñ
ḳhushbū sā phail jaatā hai āñchal ke aas paas
ik vāhime sā koī bikhartā hai raat meñ
pūchhā charāġh-e-shab ne tirā dil vo kyā huā
maiñ ne kahā ki kaun ye jaltā hai raat maiñ
kahne lagā ki dasht kī vahshat kahāñ ga.ī
maiñ ne kahā ki kaun saraktā hai raat meñ
būñdoñ kī rāgnī meñ koī dard hai chhupā
mausam kā iztirāb chhalaktā hai raat meñ
ilzām to na dījiye 'nīlam' kī aañkh ko
sāġhar to apne aap bahaktā hai raat meñ
maddham suron ka dip sulagta hai raat mein
KHushbu sa ek KHayal mahakta hai raat mein
hairat-kade ke bich mein rahta hai raat mein
shayad wo meri aankh se takta hai raat mein
sochon mein rakh liya hai mujhe kis ki aankh ne
mere liye bhi koi pighalta hai raat mein
utra hai mere harf mein phir se koi KHayal
mere qalam ki aabru rakhta hai raat mein
KHushbu sa phail jata hai aanchal ke aas pas
ek wahime sa koi bikharta hai raat mein
puchha charagh-e-shab ne tera dil wo kya hua
main ne kaha ki kaun ye jalta hai raat main
kahne laga ki dasht ki wahshat kahan gai
main ne kaha ki kaun sarakta hai raat mein
bundon ki ragni mein koi dard hai chhupa
mausam ka iztirab chhalakta hai raat mein
ilzam to na dijiye 'nilam' ki aankh ko
saghar to apne aap bahakta hai raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.